kyun mujhe nahi samaj aata kyun...
kyun woh shakhs jisme mujhe apna sab kuch nazar aaya wo doobara nazar tak nahin aaya
kyun woh raahi jise mil gaya hai koi aur humsafar laut kar ghar nahi aaya
kyun maan liya kisine apna aur fenk diya agale hi pal jese kabhi koi raabta na tha
kyun wo jo sirf aur sirf mera lagne laga tha wo mera na tha
kyun wo jisne tumhe dikha diye tamam haseen khwab sabko kuchl ke aage badh jata hai
aur kyun tumhara zahen yaqeen karta hai itna ke bas umeed liye reh jata hai
kyun kisi gair ke diye zakhm ka kabhi koi fark nahi padta aur kyun kisi apne ke thukra dene par dil fir sambhal nahi pata
mujhe nahi samaj aata kyun ek parinda aasman mein udte hue reh jaata hai itna piche ke doobara use apna kafila nahin dikhta
aur akhir kyu dar badar bhatkane par bhi use tinka tinka jod kar banaya apna ghonsla nahi milta
mujhe nahi samaj aata kyun us mehngi car ko jo tezi se guzar jati hai sadak ke kinare soya bacha nahin dikhta
aur akhir kyun faqt ek line khinch dene par ek shaqs ko doosre shqs mein insan nahin dikhta
mujhe nahin samaj aata kyun ek sajee parosi thali ko uska khane wala nahin milta aur aakhir kyun ek masoom ko kachre ke dher mein dhoodhne par bhi apna niwala nahi milta
mujhe nahin samaj aata kyun ek taraf vishw ki sabase oonchi imarat khadi hoti hai to doosari taraf ek sakhs apna ghar toofan mein ud jane ke darr se so nahin pata
aur akhir kyun use bachpan se lekar aaj tak bar bar keh kar pookara gaya hai mard ke wo siskiyan bharta hai lekin khoolkar ro nahin pata
mujhe nahi samaj aata kyun ek bache ka basta itna bhari kar diya jata hai ke wo nahi ban pata ta umar wo jo wo ban sakta tha aur akhir kyun us se khoola maidan chinkar thamaya jata hai ek target jo ta zindagi kabhi poora nahin hota
mujhe nahin samaj aata kyun majbooriyon ne kisi ke bachpan ko itni berehmi se jakda hota hai akhir kyun dookan par un nanhi masoom si ungliyon ne chai ke glass ko pakda hota hai
mujhe nahin samaj aata kyun yahan jine ke liye har roz marna padta hai
kyun ek murda imarat ke ban ne ke liye ek zinda ped ko katna padta hai
yeh kaisa ... yeh kaisa circus hai zindagi ka ke yahan roti ke liye ek bachi ko circus mein hona padta hai
akhir kyun roti ke liye ek bachi ko circus mein hona padta hai
Comments
Post a Comment